Phir soacha

Itni waasi kaynaat mein hoaney walei
Badi badi bataon mein ye ek baat
Bahut choti,
Wo jo aj kal mausam ban gaya hai mere shaher ka,
Uski ghutan mein tumse milna zarori sa lagta hai

Phir soacha
Bhala kyun?
Kya hoga milkar, kyun milna hai?
Kaun ho tum, jis-sey milna hai?

Phir soacha
Kya syria me jang bandh hogi tumse milkar?
Kashmir azad hoga kya
Afghanistan se hota huwa sanata, kya pakistan ko doobaye ga nahi?
Firat ka khoon petroleum banne se ruke ga kya?
Falasteen naabuud hoaney se bache ga
Bastar kei jangal phir se harre hoongeh
Narmada uth kar 3000 bandhon ko gira degey
Bangladesh doobeyga nahi
Aur rohingya, un ka kya, bach jayengey wo loag?

Phir soacha,
Nahi aisa to kuch bhi nahi hoga
Sab waisa ka waisa rahega
Kuch tass se mass hoaney wala nahi
Tumhe milne se walmart to girrne se raha
DAPL lagataar bannti rahey gi
Tum-se milne ke baad
Ye yakeen hai mera
Qutb shumali ka yakh dhalte dhalte pani banta rahey ga

Phir soacha
Kya ek baar milne se kaam nahi chall sakta?
Ye to pata laga ki tum ho,
Iss sab ke baare me soochte bhi ho
[Soachna zarori hai]
Ye pata lagney se, ki
Beybass duniya deakh kar
Tum jab chalte ho, mere saath saath rukte bhi ho
Kya uss se kaam nahi chal sakta?

Phir soacha
Chall to sakta hai kaam
Kaam, kaam, kaam, kaam, kaam
Kaam to chalta hai
Jang mein dhula huwa, jabr mein nehlaya huwa kaam
Kaam bhi aur dhaam bhi, zindagi ka
Sirf chalta hi nahi daudta bhi hai
Magar zindagi ruk jati hai

Phir soacha
Afghanistan ka mehshar, kashmir ki maqbooziyat
Syria ki jang, falasteen ki dehshat
Bastar ki niilami, pakistan ki beybasi, tibet ki khamoshi
Ye sarey masalley shayad isliye thamte nahi
Kyunki bahut saaloon se kahin koi milne se katra-rahey hain

Phir soacha
Isliye, milna zarori hai
Balki zarori hi nahi
Lazim bhi hogaya ha

Phir soacha
Challo,
Milna chahiye

Follow Us

The Kashmir Pulse is now on Google News. Subscribe our Telegram channel and Follow our WhatsApp channel for timely news updates!

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here